Fear of height yaani acrophobia ek aisa phobia hai jo sirf physical nahi, mental torture bhi ban jata hai. Real-life emotional story ke zariye samjho is dar ke asli feelings aur kaise isse overcome karein.
Fear of Height Experience – Jab Friends Chill Karte Hai Aur Hum Panic Se Guzarte Hai
Aajkal aapne dekha hoga, har dusra banda kehta hai, “Yaar boring ho gaya kaam se, chalo pahadon mein chill karte hain, trekking, paragliding karte hain.” Leh Ladakh ke bike trips ho ya Rohtang Pass ki ride, har kisi ka dream destination hota hai. Log excitement ke saath kehte hain, “Yaar, kya maza aaya, 14,000 feet par chai pi, clouds humare neeche the.”
Par jinke paas acrophobia hoti hai – unke liye ye “fun trip” ek mental trauma ban jata hai.
Jab kisi ne kaha, “Chalo yaar trekking pe chalte hain,” toh mere dimaag mein sabse pehle yeh aata hai – agar car fisal gayi? Agar hum gir gaye toh? Kya mujhe heart attack aa gaya toh? Kya koi bacha payega?https://ladakh.gov.in/tourism/

Ghar Ke Doosre Floor Se Dar? Pahadon Aur Unchaiyon Ka Dar – Fear of Height Samjhein
Main un logo mein se hoon jisko ghar ke doosre floor se neeche dekhne par bhi chakkar aane lagte hain. Agar balcony mein grill na ho, toh panic aur zyada badh jaata hai. Hill station ka naam sunte hi ghutan hone lagti hai, saans tez ho jaati hai, haath-pair thande ho jaate hain.
Log haste hain, bolte hain, “Yeh kya darr hai yaar, bacche bhi chale jaate hain.” Par unhe kaise samjhau ke yeh sirf ek darr nahi, ek phobia hai – jo meri body aur mind dono ko attack karta hai.

Personal Story: “Naina Devi Yatra Aur Ek Hafte Pehle Se Lagne Wala Height Ka Dar”
Hamari kul devi hai – Naina Devi. Har saal jana padta hai. Bas problem yeh hai ki ek week pehle se hi mere andar anxiety shuru ho jaati hai. Sirf 30 minute ka mountain road hai, baaki sab flat. But woh 30 minutes mere liye mental torture hote hain.
Road ke sharp cuts, neeche ki gehraai dekh kar lagta hai – “Bas abhi gaye!” Heart beat itni fast ho jaati hai ki lagta hai abhi attack aa jayega. Aur sabse bada dar – log hasenge agar bataya ki darr lag raha hai. Toh chup chaap corner mein baith jaata hoon, sirf ek hi dua – “Jaldi se yeh pahadi road khatam ho jaaye.”https://srinainadevi.com
“Canada Jaane Ka Sapna Aur Height Fear Ki Wajah Se Flight Na Kar Paana”
Mere parents ne bola, “College ke baad Canada jaa, padhai aur part-time job kar lena.” Par main nahi gaya. Kyun?
Kyunki flight ka naam sunte hi darr lagta tha. Itni height… kya pata kuch ho gaya toh? Panic attack aa gaya toh?
Log bolte hain, “Bhai, tu pagal hai? Canada jaane ka chance hai aur tu ne chhod diya?”
Par unko kaise samjhau – yeh acrophobia sirf dream destroy nahi karta, jeene ka confidence bhi tod deta hai.

Fear of Heights Sirf Mountain Ya Plane Tak Nahi Rukta – Pull, Jhule Aur Sapne Tak Jaata Hai
Ek baar main car se ek bridge cross kar raha tha. Pull ke beech mein jab thoda height zyada ho jaata hai, toh body react karne lagti hai – dil se jhatka lagta hai, ghabrahat hoti hai, lagta hai car bas abhi niche jaayegi.
Mela dekhne jaana ho toh meri wife excited hoti hai, par main dar ke chalte mana kar deta hoon. Kyunki main janta hoon – vo jhula lenge aur main mana nahi kar paunga, aur agar chadh gaya toh mujhe lagega ki abhi heart attack aayega.https://www.healthline.com/health/acrophobia-or-fear-of-heights-symptoms-causes-and-treatment
Neend Mein Bhi Darr – Jab Sapne Mein Building Se Girne Ka Illusion Aata Hai
Raat ko achanak neend khulti hai. Sapne mein lagta hai – main kisi high-rise building se gir raha hoon. Heartbeat itni fast ho jaati hai, lagta hai bas ab gaya.
Yeh sirf illusion nahi hota – yeh subconscious fear hota hai, jo itna strong ho jaata hai ki sapne tak mein invade kar leta hai.
Jab Darr Life Ko Rokne Lage, Tab Samajh Jao – Yeh Sirf Darr Nahi, Ek Battle Hai
Log bolte hain, “Competition se daro, naye skills seekho, promote ho jao.” Par hamara competition hamare darr se hota hai.
Acrophobia wale log kisi aur se nahi, apne dimaag ke negative thought pattern se lad rahe hote hain.
How I Overcame My Fear – Ek Choti Si Jeet Jo Zindagi Badal Gayi
Ek baar maine socha – “Bas, ab nahi. Darr se aage jeena seekhna hai.”
Mere friends pahad par gaye the – wahin river thi, ek cute sa café aur swimming pool bhi. Maine kaha, “Bike se chalte hain. Akele.”
Shuruaat mein dard, panic, fast heartbeat – sab hua. Par ek baar jab height cross karli, toh darr kam hota gaya.
Fresh hawa, sukoon, confidence – sab wapas aaya.
Us trip ke baad se na mujhe building se darr lagta hai, na pull se, na flight se. Main jeet gaya.https://khuljamind.com/anxiety-8/
Conclusion – Darr Se Bhago Nahi, Uska Samna Karo
Fear of height – yaani acrophobia – ek aisi cheez hai jo sirf physical nahi, mental torture ban jaati hai. Par iska solution hai:
Ek step lo
Dheere dheere height ko face karo
Apne fear ko challenge karo
Chhoti jeet bade darr ko harane mein help karti hai
Aaj main confidently keh sakta hoon – maine apne phobia ko face kiya, aur zindagi jeena shuru kiya. Aap bhi kar sakte ho.
💬 Aapka Kya Experience Hai?
Agar aap bhi height ke darr se suffer kar rahe ho, toh niche comment mein likho – apna dar share karo, shayad kisi aur ko himmat mile.https://khuljamind.com/anxiety-bp/