Yaar, mujhe anxiety ki medicine khate hue 3 mahine se zyada ho gaye the. Jab bhi doctor se puchta tha ke “ab band kar dun kya?” toh har baar woh bolte, “Abhi nahi… ruk jaa… time aayega toh main khud band kara dunga.”
Par mujhe andar se lagta tha ke bhai, main toh thik ho gaya hoon, ab dawaai kyun khani? Mann bhi nahi karta tha. Lagta tha doctor sirf paisa kama rahe hain. Jab thik hone ke baad bhi medicine continue karwa rahe ho, toh kuch toh gadbad hai.
Ek din bas maine khud se hi decision le liya aur medicines ak dum se band kar di.
💥 Galti #1 – Ak Dum Se Band Karna
Shuru ke kuch din toh sab theek tha. Par fir dheere dheere symptoms waapas aa gaye—ghabrahat, restlessness, negative thoughts. Doctor ke paas gaya toh woh chillaya, “Maine mana kiya tha na bina bataye medicine band mat karna. Jab band karni hogi, main khud plan banaunga. Ye koi chewing gum nahi hai jo kabhi bhi chhod do!”
Tab samajh aaya ke medicine ka apna ek proper course hota hai—kabhi 6 mahine, kabhi ek saal ya usse bhi zyada. Aur isse apni marzi se band karna galti hai.
Par mere andar ek aur thought tha—agar maine apne efforts nahi dale, toh main hamesha in medicines pe dependent rahunga. Jab tak khaunga, thik, aur jaise hi chhodunga, wapas anxiety. Ye toh koi solution hi nahi tha.
Tab maine decide kiya ke ab lifestyle change karke anxiety ko control karunga—naturally.https://khuljamind.com/anxiety-hone-ke-5-psychological-reasons-jo-log-ignore-kar-dete-hain/
Mere Steps to Quit Anxiety Medication:
1. Daily Routine Set Karna 🕘
Pehle raat ko 12-1 baje tak jagta tha. Ab routine badla, 9 baje sone laga. Late night jagne se sirf overthinking badhti hai. Raat mein banda ya toh Instagram scroll karta hai ya TV pe negativity dekhta hai. Aur even agar kuch positive bhi dekhe, mind usse bhi negative bana deta hai.
Solution?
Maine screen time kam kiya. Subah 5 baje uthna start kiya. Pehle tough lagta tha, par fir maine ek target bana liya—“Main suraj nikalne se pehle uthunga.” Ab daily uthta hoon, subah ki hawa, birds ki awaaz… next-level peace.
2. Morning Walk 🚶♂️
Har subah 30–40 mins slow walk karta hoon.
Start mein darr lagta tha—yaar kahin heart beat badh gayi toh? Heart attack aa gaya toh? Par maine apne mann ko samjhaya—“Ye sab negative thoughts hain, kuch nahi hoga.”
Sab reports normal thi. Slowly-slowly mann ko control kiya. Ab toh walk bina kisi break ke routine ban chuki hai.

3. Positive Affirmations 🔊
Maine apni awaaz mein hi morning aur night affirmations record ki thi.
“Main theek hoon.”
“Main strong hoon.”
“Main anxiety ko control kar sakta hoon.”
Har subah uth ke aur raat ko sone se pehle sunta tha. Affirmations ne meri belief system ko badla.https://www.webmd.com/balance/what-to-know-positive-affirmations
4. Meditation + Mindfulness 🧘♂️
Morning walk ke baad 20 mins meditation karta hoon. Pehle toh 2 min bhi bardaasht nahi hote the—body vibrate hoti thi, aankh khul jaati thi.
YouTube pe guided meditation videos bhi try ki, but fir samjha—“Meditation ka matlab dusron ke video pe depend hona nahi, apne mann pe control paana hai.”
Ab bina kisi video ke saans par dhyan dekar meditate karta hoon.
Mindfulness aur breathing exercise ne bhi bahut help kiya:
4 sec inhale → 4 sec hold → 6-8 sec exhale. Ye process repeat karta hoon. Anxiety level instantly neeche aata hai.https://www.healthline.com/nutrition/12-benefits-of-meditation

5. Apne Aap Ko Busy Rakhna 👥
Jab bhi free hota tha, overthinking chalu. College chhodne ke baad jab ghar pe free baitha tha, anxiety peak par thi.
Solution?
Apne doston ke saath rehna, family ke saath waqt bitana, kuch na kuch productive karna.
Class mein ho toh pura focus class mein, kaam karo toh poore dil se karo.
6. Gym 🏋️♂️
Gym mera pehla pyaar tha. 15 saal ki umar se workout karta aa raha hoon.
Par anxiety ke time toh 5kg dumbbell uthate hi saans chadh jaati thi. Lagta tha heart attack aane wala hai.
Gym basement mein tha, lagta tha wahi problem hai—lekin jab doosre gym gaya, same scene.
Maine gym chod diya. Dil toota. Par fir ek din decide kiya—“Shuru karna hi padega.”
2kg se start kiya, dhire dhire build up kiya. Heart beat badhti thi, par samjha—“Workout mein ye normal hai.”
Ab gym mere liye therapy jaisa hai. Workout ke 1-2 ghante sirf mere liye hote hain. Full focus. Full release.https://www.healthline.com/nutrition/10-benefits-of-exercise

7. Social Media Detox & Negative Logon Se Door 🚫
Reels dekhte-dekhte 3-4 ghante nikal jaate the. Fake lifestyle, fake smiles, sab kuch.
Compare karne lagta tha apni life se. Confidence tootne lagta tha.
Solution?
Social media detox kiya. Negative logon ko life se delete kiya. Focus apne goals pe shift kiya.
Final Thought:
Meds chhodna ek risky decision tha, par maine galtiyon se seekha.
Agar tu bhi anxiety ke against fight kar raha hai, toh yaad rakh—medicine ke saath lifestyle change karna zaroori hai.
Bina routine, bina discipline, bina awareness… anxiety wapas aa sakti hai.
Par agar tu effort dalega—walking, gym, meditation, positivity, busy rehna—tu jeetega bhai. Tu jeetega.https://khuljamind.com/anxiety-5/