Anxiety aajkal ke lifestyle mein bahut aam si cheez ho gayi hai.
Chhoti-chhoti baaton mein darr lagna aur uske baad ghabrahat hone lag jaati hai.
Aisa lagta hai ke kuch ho jayega aur bahut zyada bechaini hoti hai.
Iska main reason hai lifestyle mein aaye changes.
Jaise ki hume kahin jaana hota hai, toh Uber kar lete hain, Rapido kar lete hain ya koi auto kar lete hain.
Ghar baithe hi car, bike ya auto aa jaata hai, hume bilkul bhi chalna nahi padta.
Hamari physical exercise bilkul hi band ho gayi hai.
Agar hume koi t-shirt leni hai, mobile lena hai ya koi electronic, clothes ya koi bhi product lena hai, toh hum Amazon, Flipkart ya Meesho jaise platforms se manga lete hain.
Woh aaram se ghar baithe hi deliver ho jaata hai.
Aur hum bahut khush hote hain ki haan yaar, mujhe kahin jaana nahi pada aur saaman aa gaya.
Sath mein 10% ka discount bhi mil jaata hai.
Offline lene walon se sasta mil jaata hai.
Bas ek click kiya aur saman aa gaya.
Bahut khushi milti hai ki bina mehnat ke sab kuch mil gaya.
Ab toh aur bhi hadh ho gayi hai.
Koi doodh ka thaila lena ho, paneer ka packet lena ho, 5 egg ya koi bhi sabzi leni ho — ab bas 5 minute mein ghar tak aa jaata hai.
Lagta hai kon chale 2 minute door dukan tak, ghar mein hi sab mil raha hai.
Bas order karo Blinkit, Zepto ya kisi aur platform se.
Lekin yeh sab cheezein hume physically aur mentally dono tarah se kharab kar rahi hain.
Pet ke problems, overweight hona, aur heart se related bimariyaan badh rahi hain.
Kyuki aajkal ka lifestyle hi aisa ho gaya hai.
Pehle hume kuch lene ke liye do kadam toh chalna padta tha,
chahe bike ya scooty ka istemal karte the,
lekin fir bhi 32 kadam chal lete the.
Ab toh woh bhi band ho gaya hai.
Physical exercise toh door ki baat hai, gym ya koi sports khelna bhi band ho gaya hai.
Sab social media par chatting mein lage hain.
Example: koi banda Chandigarh mein baithkar Mumbai mein baat kar raha hai, bina jaane ke phone ke peeche kaun hai.
Jo saath mein dost ya family hoti hai, unse baat tak nahi karte.
Agar family ya dost kuch baat karne aate hain, toh hum kehte hain,
“Yaar mujhe na tang karo, pehle hi school, college ya job se thak gaya hoon. 10 minute phone chalane do.”
Aise mein hum dheere-dheere isolate hone lagte hain.
Khud ko real life se itna door kar lete hain.
Aur jab phone kharab ho jaye ya recharge na ho,
toh ek din katna mushkil lagta hai.
“Phone ke bina kaise chalega din?”
Poora din itna lamba lagta hai.
Fake life mein social media ki wajah se hum apne asli dost aur family se doori banane lagte hain.
Agar koi baat tang bhi kar rahi hoti hai, hum kisi se share nahi karte.
Bas apne tak rakhte hain.
Aur dheere-dheere humari mental health bhi bigadne lagti hai.
Humare physical health pe toh asar aa hi raha hota hai,
aur ab mental health bhi.
Kisi ne kuch keh diya, toh poora din-raat ussi baat ko sochte rehte hain:
“Iski itni himmat kaise hui mujhe bolne ki?”
Kal bataunga, aur kuch der baad mood change:
“Chhod, kya ladna.”
Mood swings hone lagte hain.
Phir overthinking shuru ho jaati hai.
Maan lo tumhara pet normal dard kar raha hai,
lekin tum overthinking karke itne negative thought pattern bana lete ho.
Tum jabhi jakar apna weight napte ho, aur 1–2 kg kam aa jaye,
toh darr jaate ho:
“Yaar mera weight kam kaise ho gaya? Kahin bimari toh nahi?”
Tum doctor ke paas jaate ho,
bolte ho:
“Sir, mere pet mein dard rehta hai, weight bhi loss ho raha hai.”
Gas ki problems ke liye itni tablets kha li, phir bhi aaram nahi.
Poora din gas bani rehti hai, dhakar aate rehte hain.
Doctor kuch medicines de deta hai, par kuch khaas farak nahi padta.
Kyuki problem pet ki nahi, mind ki hoti hai.
Tumhara negative thought pattern tumhe lagataar yeh indication deta hai:
“Bas ab koi badi bimari ho gayi hai.”
Tum sochte ho:
- Liver damage
- Kidney kharab
- Kala peeliya (black jaundice)
Fir tum research karte ho:
“Pet mein dard kyun hota hai?”
“Weight loss kyun hota hai?”
Aur jitna padhoge, utni tension badhegi.
Tum decide karte ho kaunse tests karane chahiye:
Blood test, ultrasound, endoscopy — sab padh lete ho.
Phir doctor ke paas jaake kehte ho: “Sir, test karwa lijiye, kuch bada problem lag raha hai.”
Paise jaayein bhaad mein, jaan bachani zaruri hai.
Aur jab sab test karwa lete ho, kuch nahi nikalta.
Kyuki asal mein problem mind mein thi,
aur tum dhoondh rahe the pet mein.
Negative thought patterns itne strong ho chuke hote hain,
ki wo pehle tumhe mentally tang karte hain,
aur ab physically bhi.
Isiliye kabhi bhi anxiety aur mental health ke signs ko ignore nahi karna chahiye.
Jab bhi aise symptoms dikhen, kisi specialist ke paas jao.
Apni baatein share karo.
Samjho asli problem kya hai.
Kyuki jab tak asli problem ka pata nahi chalega,
tab tak hum usse lad nahi sakte.
Aur bina samjhe problem ladoge, toh wo aur badi ho jaayegi.https://www.nhs.uk/mental-health/feelings-symptoms-behaviours/feelings-and-symptoms/anxiety-disorder-signs/
Isiliye kabhi bhi anxiety ya mental health se judi problems ko ignore mat karo.

Anxiety ke 7 Emotional Signs jo Humein Kabhi Bhi Ignore Nahi Karne Chahiye
- Akele Rehne Ka Dil Karna
Maan lo tum office mein kaam kar rahe ho aur tumhare field ka kaam kuch aisa hai ki tum bas soch rahe ho, “Bas attendance laga lo aur niklo, koi mujhe bhoolaye na.” Tumhara mann aise sochne lagta hai ki kisi se baat karna nahi chahiye, bas akele rehna chahiye. Agar phone karna bhi pade, toh tum 10 baar sochoge, “Kya yeh karna chahiye?” Tumhara dil kahta hai ki bas akele rehna hai, aur agar tum gym jaate ho, toh tum chahoge ki koi tumhare saamne na aaye. Tum apne aap se lad rahe ho, aur dusre log tumhe attitude samajhte hain, jabki tum apne hi dimaag se lad rahe hote ho.https://www.mayoclinic.org/diseases-conditions/anxiety/symptoms-causes/syc-20350961 - Mood Swings
Maan lo tum kahi ja rahe the aur tumne dekha ki kuch ladke hans rahe the. Tumhe laga, “Yeh mujh par hans rahe hain,” aur tum negative thoughts mein chalay jaoge. Tumhare dimaag mein anger, revenge, aur ignore karne ke thoughts aa jayenge. Yeh sab tumhare negative thought pattern ka nateeja hai, jo slowly tumhe har situation mein negative cheezein dikhane lagta hai. Jab tak tum positive thinking adopt nahi karte, yeh pattern badalta nahi. - Overthinking
Agar tum koi baat sochna shuru karte ho, toh poora din aur raat ussi baat mein doobte rahte ho. Jaise, tum apni wife se kahte ho ki “Freeze mein papita padh gaya hai, de dena,” aur jab woh jawab deti hai “Mere paas time nahi hai, khud kha lo,” tum sochne lagte ho, “Kya woh mujhe ignore kar rahi hai?” Tumhare dimaag mein sochne ki chain nahi hoti, aur tum ek chhoti baat ko overanalyze karte ho, jo kabhi tumhare liye badha issue ban jata hai. Yeh overthinking anxiety ka ek major sign hai, jo tumhare mind ko control kar leta hai.https://khuljamind.com/overthinking-se-anxiety-ka-kya-connection-hai/ - Neend Na Aana
Jab tum overthinking kar rahe hote ho, toh sabse pehle tumhe neend udti hai. Tum ek hi baat sochne lagte ho, aur raat ko jab sab soye hote hain, tab tumhe lagta hai ke “Mujhe heart attack na aa jaye.” Tumhe apni heartbeat pe dhyaan dena padta hai, aur kabhi kabhi tumhe saans lene mein bhi mushkil hoti hai. Yeh sab tumhare negative thoughts ki wajah se hota hai, jo anxiety ke starting phase mein tumhe physical symptoms ki tarah feel hota hai. - Guilt Karna
Maan lo tum samosa lene gaye the, aur tumne ek bhikari ko paise nahi diye. Tum ghar laut kar sochne lagte ho, “Mujhe paise dene chahiye the.” Tumhare mind mein guilt ka feeling aata hai, aur tum sochne lagte ho ki agar kal ko mujhe koi help chahiye ho, toh koi meri madad nahi karega. Tum apni galti ko bahut zyada feel karte ho, aur yeh constant guilt tumhe mentally drain kar deta hai. Anxiety ke saath yeh guilt ka feeling common hai. - Poore Din Thakan Lagna
Tum subah uthte ho aur tumhe lagta hai ki tum bahut thake hue ho. Tumne kuch bhi khas kaam nahi kiya hota, phir bhi tumhe lagta hai ki tumhara sharir thak gaya hai. Tumhe lagta hai ki kisi ne tumhe physically exhaustion ke liye maar diya ho. Yeh anxiety ka ek aur sign hai, jisme tumhare sharir ko physical fatigue ka samna karna padta hai, bina kisi real physical activity ke - Concentration Nahi Hona
Maan lo tum padhai kar rahe ho aur tumhe lagta hai ki tumhare dimaag ka focus kahin aur chala gaya hai. Tumhare thoughts idhar-udhar bhatak rahe hote hain, aur tumhe lagta hai ki tum concentrate nahi kar paa rahe. Tumhare dimaag mein har jagah thoughts chal rahe hote hain, aur tumhe kisi ek baat par dhyaan dena mushkil ho jata hai. Yeh bhi anxiety ka sign hai, jab tumhara dimaag itna scattered hota hai ki tum kisi ek cheez par concentrate nahi kar paa rahe ho.

Conclusion
Anxiety humare negative thought patterns ki wajah se hoti hai, jo humari mental aur physical health ko impact karte hain. Agar hum apne negative thoughts ko pehchanein aur unhe positive thoughts se replace karein, toh hum anxiety ko control kar sakte hain. Yeh journey dheere-dheere chalegi, lekin ek din hum apne aapko better mehsoos karenge. Agar tumhe yeh blog pasand aaye, toh please like, comment, aur share karein.
@khuljamindhttps://khuljamind.in/anxiety-journey
